आर.टी आई को नाकारा करना चाहते हैं बिहार के अधकारी.

case no 10908/2008/09 .
uprokt case ke bare mein jaane k baad pata chal jayga ki bihar mein lok suchna padadhikaari se lekar aayog mein baithe huye information commissioner ki imandari ka piri tarah khulasa ho jayega.
parapatra k tehat aawedan dinank24.05.2008 pio cum dm purbi champaran ko bheja geya . DM ne suchna dene hetu BDO kalyanpur purbi chmaparan ko diya jiski suchna patrank 11.06.2008 k jariye kiya
samay paas kar gai par suchna nahi aai ,niyamta 1st appeal SDO bara chakia purbi champaran ke paas ki gai,,sdo ne patrank 1170 dated 29.7.2008 ke madhyam se suchna mamle ko kharij karne se sambandhit suchna beheja.
Anta dusri appeal bihar suchna aayog ke paas ki gai, aur lok sudchna padadhikari ne aadhi adhuri suchna mujhe bhejdi,waisi suchna pi one bheji sisme usey laga ki suchna dene k baad mujhe fansne ka dar nahi hai,
Aayog ne apene wawara notice mein pio ko kaha ki suchna awedak ko muft dein keyonki aawedak ka aawedan 30 dino purka hai.
Dusri taraf case ki sunwai dinak 3.12.2008 ko usne ektarfa faisla sunate huye case ko depose kardiya, aur aawedak ko bolme ka jara bhi mauka nahi diya geya,
Case ko kholne hetu dinak 6.04.2009 ko punah humne aayog ko patra likkha lekin aayon ne aajtak kuch bhi nahi jiss pata chale ki aayog logon ko suchna lila hetu emandar aur gambhir hain.
Uprokt tathyon ke aadhar par ye kahna galat na hoga ki aayog manage hone laga hai.


Case no 22541-2009-10 ko jara dekhiye jisme PIO cum SP purbi chmparan ko banaya geya tha.,jis vibhag ko sabse jeyada aur kaam k parti sajag mani jaati hai.

Parapatra k ke tahat aawedan dinak10.03.2009 ko kiya geya samay bitgai par suchna na aayi ,tab humne paratham appeal dinak 27.4.2009 ko dig betia ko kiya geya lekin unhonne bhi suchna dila hetu kuchbhi nahi kiya,
Mamla ayog tak pahuch geya ,aayog ki kari fatkaar ke bad suchna SP ne total 4 kandikaaon ki suchna mein sirf 1kandikaaon ki suchna diya, in sabke bawajud case ki sunwai karahe bihar ke much suchna aayukt .jo ki CHIEF SECRETATY bihar bhi rahchuke hain case ko band karne ka aadesh parit kardiya.

Ek aur udaharan ,jo bihar ke afsaron se lekar rajya suchna aayog ko kagheremein khara karti hai, dinank 10.03 2009 ko kalyapur ke bdo ko piobanaya geya ,sikchak bahali mein horahi dhandhli, aangan bari ko chalane hetu sewikaaon k chayan me barti gai aniyemitta ,barh rahat witraran 2008 ,NAREGA,BPL suchi,berojgari bhatta samet kai aur mamle mein jahan bharastacharita ko apnayageyatha se mangageya tha.
YAHA YE BAAT BATADENA CHAHATA HUN K ISSE PAHLE AAWEDAK MAI SAWEIN THA, LEKIN GHOTALE MEIN SHAMIL LOGON K DAWARA HUM PAR MAMLE KO DABANE HETU BAHUT PRESSER DIYA GEYA THA JISSKE SABAB HUMNE ESBAAR EK AISE AAWEDAK KO LA KHARA KIYA, JISSKA SAMBANDH USS ELAKE SE THA HE NAHI, US AAWEDAK KA NAAM ALI NAWAJ HAIN JO HAMARE PATRAKAARITA ASNATAK KI PARAHI SAATH HE HUM DONO NE KIYA, la khara kiya, mamle k peche pura dimag mera he rhata. Pratham apeaal ke baad bhi suchna nahi mili ,mamla rajya suchna aayog pahucha,

Aayog is aades k baad k aawedan 30 dino purka hai isliye suchna nisulk ewam purn rupen suchna dewein, aayatha, 25000 aarthik dand k bhagihonge,
Es aades k baad pi one jaal saji karte huye aawedak ewam aayok ko dhoka den eke garj se 1page ki suchna dekar likha k 80 page ka anulagnak sanlagan hia, es frji ware ki suchna purey sabut ke saath dete huye 402 ka mukadma chalane ko aagrah kiya.sabut k taur par kaha ke 80 page ka letter kewal 25 rupees k daktikat par kaise pi one bhejdiya.

Aayog ne apni pahli sunwai10.08.2010 mein pio ko maaf ye kahte huye kardiya ke PIO CUM BDO ne anulagnak lagane mein bhul kardi hogi,
2nd hearing dinak 10.12 .2010 mein 25000 ki fine pio pe ki gai hia, case ki agli sunwai 24,04.2011 ko hai,

Aayog ke is tarah k rawaiye se bihar ke aawedak ubgaye hain,jisse bharasta charion ka ka khulkar information commissioner sath derahe hain,

Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

Department of Education Directory