EAST CHAMPARAN MEIN SARKARI YOJNAON MEIN LOOT KHASOT

Purbi champaran(BIHAR) jila ke kalyanpur block ke antargat aane wala manichapra panchayat me sarkar ke dawara chalai ja rahi yojnao me horahi dhandhli ki baat wahan

Ki garib janta baar baar humse karti aur aagrah karti ke aap padhe likhe log keyon nahi kuch aisa karte jisse ki isparkar ki dhandhli pe lagam lagne ke saath he bharastachariyon ko sabak miley.
Bas hamare samne ek RTI act 2005 ke siwa dusra wikalp he kya tha,
Praptra k ke tahat aawedan dinank 27.05.2008 ko maine bheja, wisay ke sankhea aur sabdon ka limitatiom na hone ke karan maine kai wisayon se sambadhit jaise ,bargh rahat witran 2007,solar light lagane me barti jarhi dhandhli,school shikchak ko galat tarise transfer ,aangan baari sewika chayan mamle hui dhadhli se sambandhit, aangan bari me parhrahe bachcho ki suchi,tatha uprokt panchayat ke ward no 1 me chalrahe school ke bachcho ki suchi,taake cross cheking ki ja sake,
Samay bit geya lekin suchna pio cum bdo kalanpur ne nahi bheja,
Partham apil dinank 21.07.2008 ko sdo bara chakia jila purbi champaran ke pass kiya sdo ne bagair koi sunwai kiye mamle ko kharij karne se sambandhit ek chitthi bheja.
2nd apil dinak 19.08.2008 ko rajya suchana ayog me kiya,
Rajya suchna aayon ka notice jab bdo kalyanpur ko geya ke 30 dinon se jeyada ki waqt bitjane ke bawajud suchna aawedak ko nahi uplabdh karaya geya ,jiske karan aawedak ko suchna muft uplabdh karawen,sath he hedayat diya ke nahi uplabh karane jurm mein 250/rupya pati din ke hisab se dinak 17.09 2008 ke parbhao se 25000 rupya aarthik dand ke bhagi honge,aur case ki sunwai 3.12.2009 ko rakhi gai thi,
Pio ne is bich aadhi adhuri suchna bhene ke sath he kagji taur pe apne durust karne mein laggeya.
lekin usaadhi aduri suchna me he kai khulase hone suru hogaye,
jaise Amin ahmad pita abdul Rashid jo ki saalon saal se apne ghar par nahi rahta lekin usey bhi bagh rahat samagri ko uthate dikhaya geya tha, aakhir ya kaise sambhon tha?
Scool me 54 urdu parhne wale student ke rahte huye urdu school se urdu master ko hata diya geya ,kabke sarkari niyam ke anusar 10 urdu students ke rahte huye bhi 1 urdu teacher rahenge.
Non matric medical practicener ka bhi khulasa hua, baki suchna jisse BDO kalyanpur ko fansne ka dar tha case(10908) ki sunya ki tarikh 3.12.2008 tak aakhir kar nahi bheja,
Isbich padhadhikarion ne uprokt panchayat ke ward no 1 me 2 solar light ki wewastha jhat se karwa di,lekin kitna solar light panchayat ko diya geya tha suchi nahi bhejne k karan khulasa nahi hosaka,
Baki kisi suchna ko PIO ne nahi bheja,
Sunwai me hui na insafi, aayuk ne BAKI suchna nahi bhejne ke bawajud ,PIO ke bhi nahi present hone ke bawajud case ko band kar bharastachario ka sath diya,
In logon ke kam karne ke style se pata chal chukka tha ke bharai ghotala huaa hai,jisske ke karan dinak 4.9.2009 ko vijilence ke secretary ko lettar likhkar purey mamle se augat karate huye janch ki mang maine kiya ,lekin dukh hia ke nigrani vibhag ne aaj tak kuch nahi kiya,


Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

Department of Education Directory