pindar urdu daily dinank.17.5.12 page 10 pe chapi thi khabar ke anusar.
Aatankwas ke naam par adhadhundh giraftarion ka silsila band ho( maulana asrarul haque quasmi. MP kisanganj,bihar)
bihar ke yuwakon ki giraftari par hairat aur dukh jatate huye eminent social worker and MP kisanganj asrarul haque qasmi ne kaha ke bihar raaj se pichle dino karnatak police ke jariye dahsatgardi ke iljaam mein kafi ahmad ki giraftari ka jo samne aata wah hairat karne wala hai. unhon ne tazub ka izhar karte huye kaha ke desre reyasat police bihar mein dakhil hokar wahan ek ke naujawan ko giraftaar karke lejati hai aur bihar police ko kanokan khabar tak nahi hoti unhone sawal kiya ke BIHAR POLICE
wastaw mein anjaan rahi ya usnay jaan bujhkar aakhein band karli thi?
dahshat gardi ke ilzaam mein bina sabuton ke musalmano ko giraftar kiye jane par shakht patikirya jahir karte huye
kishanganj ke MP maulana asrarul haque qashmi kaha ke ye intahai dukh ki baat hai ke musalmano ko dahsat grdi
ki aar mein parishan karne ka silsila abhi bhi jari hai.
halake bahut se muslim naujawan adalat ke jariye reha kiye jachuke hain aur ye sabit ho chuka hai ke wah beqasur
they,jabke police aur jach agenciyan barabar unke qasurwaar hone ka dawa karti rahi hain.aur jhut sabut pesh karti rahin
hairani ki baat ye hai ke haqiqat samne aane ke bawajud police aur janch agenciyon ne abhi tak hosh ke nakhun nahi liye hain aur wah apni purani dagar pe chalte huye musalmano he ko taftish ka
wisay banaye huye hai. aur unhein giraftar karti firrahi hai.
maulana ne kaha ke jabtak asal dahsatgardon ke irdgird shikanja nahi kasa jayega us waqt tak dahshatgrdi ko khatam nahi kiya jasakega. aur dukh ki baat hai ke dahshargard police aur janch agenciyon ki giraft se bahar hain aur be qasuron par police pura jor kharch kar rahi ,unhon ne kaha ke dahsatgardi ek khatarnak kaam hai aur uska koi majhab nahi hita,isliye usko majhab se
jorkar ke upar uthkar dekhna chahiye taake beqasuron ki giraftari ka silsila band ho
unhone huqumat bihar se mang ki hai ke wah es baat ko yaqini banaye ke aanewale dino mein dusre raaj
ki police ke jariye gair qanuni dhang se bihar se kisi aadmi ki giraftari ka mamla samne na aaye.
Comments