मोदी के P M पद पर बैठने के साथ ही बारी मस्जिद की जगह राम मंदिर बनाने , धारा 370 ,समान्य नागरिकता कानून को लागू किये जाने की चर्चा के ठीक एक रोज पहले आई देश के कई राज्यों में आई जलजलों के झटके ने न केवल सनसनी फैला दिया है बल्कि ये सोंचने पर मजबूर कर दिया है की क्या ताक़त के नशे में चूर अगर सरकार कुछ करती है तो क्या देश में प्राकृतिक तबाही से पूरा देश हिलने वाला है ? क्या केंद्र की मजबूत सरकार इन तबाहियों से भी भारत की लाखों जनता को बचा लेगी ? कहते हैं ऊपर वाला जागाने घर घर नहीं जाता । जलजले की झटके को चेतावनी समझिये ।

Chaahe aap kisi dharm ko manne wale hon , agar aap ishwar me  wiswaas rakhte hain to aap  is baat pe bhi yakin jarur rakhte honge ki ishwar ki marzi ke bagair ek patta bhi nahi hilta ,
Dinank 21. 5. 2014  ko 9. 51 PM par Bihar samet desh ke kayi hisson  me ( dilli , uttar pradesh , pashchimi bangaal , oddisha , andhra pradesh , aur jharkhnad ) ek saath aaya jhatka bhi Us supar power ki marji se bharat ke newly  appointed PM Narendar Modi sarkaar ko chetaoni dene ke kheyaal se aayi thi .

Upar baitha super power ye ehsaas karaane ne aaya tha ki agar insaaf aur insaayiyat ko kuchla geya to bas.......... samjhlo  ham  keya kar sakte hain.

Gaur talab baat ye hai ki bharat mein ye jaljala ek aise  waqt me aaya hai jab Naredar Modi ki aguwayai me majbut sarkaar banne ke saath hee Ram mandir Mamla , dhara 370 , samanya nagrikta qaanun  jaise sawnwedan sheel maamlo ko karodo logo ke dilon ko thes pahuchate huye jabardasti laagu karne ki baat ki jaa rahi.

Sanad rahe ki bhaarat mein jab bhi laakhon logon  ke dilon ko thes pahuncha hai , tab tab upar waley ne apne power ka izhaar karte huye bhaari vinaas kiya hai . Yaad kijiye jab babri masjid  bal purwak toda geya tha , yaad kijiye keya hua tha , desh bhar  me aisi jaljala se tabaahi hui thi usme bach nikalne waalon se aaj bhi puch lijiyega..... kitne apnag huye uski sudhi lene waala kaun hai , aise hajaaro log honge jo aaj bhi  jinda laash bane hinge ,
Gujraat ka jaljala yaad kijiye , bhuj ki tabaahi yaad kijiye bhul gaye keya ?  Keya waqt bit geya isliye?  Pichele kuch saalon mein aai tabaahiyon ko yaad kijiye , in tabaahiyo se sabak lijiye .
Utra khand ki tabaahi bhala koi kaise bhul sakta hai.?  Duniya ne us bheyaanak tashvir ko dekha , khaate waqt yaad aa jaye to log khana bhul jaaye, paani pite waqt yaad aa jaaye to peyaas bujh jaye . Pakhana ke liye baithe ho agar wah sin yaad aa jaaye to logo ke paakhaana  chatak jaaye . Peshaab karte waqt yaad aa jaaye to peshaab khud ba khud ruk jaaye.
Magar insaan sab bhul jata hai , hame akhbaar ka wah khabar aaj bhi sahej kar rakhen huye hain jisme likha tha  utra khand ki tabaahi main itne log maare gaye  ki usey gina nahi jaa paayega..... ye shabd hi qaafi hai dosto ........samajhne ke liye ki wah sin kaisa tha . Keya aap ko isliye parwaah nahi  ki usme aap ke apne nahi they ?  Dusron ki jaan se keya matlab?  Yahi na ..... yaad rakhiye ho sakta hai is baar ji aane waaki prakriti ki tabaahi mein khone waalon me shaayad ham sabhi ki baari ho.

Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

Department of Education Directory