Aur kitne jakham denge aap ? और कितने जख्म देंगे आप ?

Aur kitne jakham denge aap ?

duniya ka koi bhi majhab ek dusre se nafrat ki talim nahi deta hai .
kisi bhi majhab ki emarat nafrat ya adawat ki buniyaad par khadi nahi hoti hai
sabhi majhab ek dusre se muhabbat aur shafqat baratne ki talim detey hain .
ek dusre k dard ko apna dard samajhne ki talqeen yaani hedayat dete hain.sabhi majahib ke aala qadron ko insaan ka ehtaraam shamil hota hai .koi majhab nafrat aur kisi ki dil shikni ko qatayi pashand nahi karta . ....majhab taqrao nahi bhai chargi aur rawadaari ka sabak deta hai aur yahi insan ki azmat ka sabab banta hai .........lekin kuch kog hote hain jo apne mufad ki khatir majhab ka galat istemal tashvir pesh karte hain .insan ko insan se lada kar apne jati mufaad ki takmil yaani purti karte hain.

ASHOK singhal aur pravin togadia jaise log aise hee logon me shamil hain ......vishwa hindu parishad ke bani yaani sanrakshak ashok singhal aur vishwa hindu parishad ke international general secretary dr.pravin togadiya jab bhi koi beyan dete hain unka nishana sirf musalman hite hain , wah musalmano ke khelaf jam kar jahar ugalte hain ,unki dilshikni aur tazlil karna jaise unki fitrat me shamil hai.iski taza mishaal in dono leadron ke taraf se diye gaye jahar ugalte beyanaat hain . Es taza tarin beyan me in dono lidron ne desh ke bish karod musalmano ko khuli dhamkiyan di hain ....ashok singhal ne apne beyan me kaha hai ke waqt ne sabit kar diya hai ki mulk k hindu bedar ho gaye hain aur muttahid ho gaye hain ....yah bhi samne aa geya hai ki mulk me hukumat musalmano ki himayat ke bagair bhi ban sakti hain hindutvwadi taqaten musalmano ki madad ke bagair bhi purey aksariyat se dehli par qabja jama chuki hain ....mr. singhal ne yahan tak kah diya ki musalmano ko mulk me chain se rahna hai to unhe hinduon ke jazbat ka ehtaram karna hoga .....ayodhya , mathura , aur banras ki masjido par se apna dawa chodna chodna hoga ....wah tin masjide hamarey hawale kar den to hum baaki ki masjido par se apna dawa chod denge .....warna mulk ki hazaron masjidon ka wajud khatre me pad jayega .....mr. singhal ne kaha ki musalmano ko main stream me ana hoga ....personal law ko tark kar k civil code ko akhtiyar karna hoga mosalmano ko samajh lena hoga ki hinduon ke khelaaf ja kar unka wajud aur unka baka namumkin hai .....
Gaur karen to is beyan ka ek ek lafz nafrat me duba hua aur dhamki se bhara hai ...dusri taraf pravin togaria ne bhi jo beyan diya hai us beyan me bhi taqriban esi qism ki dhamkiyan di gayi hain jiska ekhtatam jahar me dubi ek tir ki tarah hai ...paravin togadia ne kaha ki musalman agar gujrat bhul gaye hain to unhen muzaffar nagar ( uttar pradesh )ko nahi bhulna chahiye...ab ye bhi batane ki jarurat hai ke muzaffarnagar me jo firqawarana fasadaat huye the aur wahan musalmano ko jabardast mali nuksan ka samna karna pada tha yahan tak ki wah apne hi watan me muhajerin ban gaye aur campo me apni jindagi gujarne pe majbur hain ....paravin togaria aur ashok singhal ke beyanat mohazzab samaj ( aadarsh samaj ) me kisi bhi taur par qabile qabul nahi hain aur is k khelaf purey samaj ko awaaz buland karni chahiye ....aur sab se badh kar aayini ohdon fayej yani virajman hukmaran ko is ka sakht notice leni chahiye ...keyoki wah aaini ohde par hain aur is mulk ka aain sabhi ko barabri ka haq deta hai .kisi ko kisi par tarjih hasil nahi hain .....

Hamara mulk hindustan ek secular mulk hai,  yah ranga rang khasusiyat ka hamil hai iski sabse badi khubi jo esay puri duniya me mumtaaz kar ti hai wah yah hai ki yahan mukhtaif rang, nasal m aur dharmo k log abaad hain ...unki alag alag pahchan bhi hain....lekin ek iztamai yani samuhik pahchan bhi hai aur wah hai "hindustani " aur is ki ruh yani atma yah hai ki jo aain me jam hai ki hukumat ka koi majhab nahi hoga aur har majhab ko barabari ka darza hoga aur kisi ke mazhabi mamle me mudakhelat yani hastakchep nahi ki jayegi....lekin togadia aur singhal jo nafrat ka biz bo rahe hain wah is mulj k  liye uski sunhari qadron ke kiyeusji yakjahti k liye intehai khatarnak hai .......ye us silsile ki kadi hai jo angrejo ki sonch thi . Anjrej jab muttahid hindustan ko fatah nahi kar paye to unhone " foot dalo hukumat karo " ki policy apnai wah jante the ki jab tak hindustan ki ekta tutega nahi wah hukumat nahi kar sakte isiliye unhone mulk ki do badi abadiyon ke dsrmiyan nafrat ki diwar khadi ki , jiska natiza yah hua ki mulk angrejo ka gulaam ho geya....pravin togaria aur singhal jo kuch kah rahe hain keya sawindhan ne iski ejazat di hain?  Tarikh is baat ki gawaah hai ki wah mulk kabhi panap nahi sakta jahan nasli aur majhabi takrao ka mahual raha hai aur aise desh tude tukde ho kar bikhad gaye......
               
                 Babri masjid shaheed kar di gayi ....musalman khamosh rahe , keya kar paye?  Musalmano ko to 65 sal qabl hee jab azadi miti thi unhe alag thalag kar k hashia par khada kar diya geya , jiski wajah kar aaj unki halat daliton aur pichdon se bhi badtar ho chuki hai  .unke paas khone k liye ab bacha keya hai  . Eda do shumar gawah hain k sarkari naukriyo k darwaje unke upar taqriban band hain , mulk ki iktesadi aur ma"aashi taraqqi me unka hissa sifar k barabar hain ....aur aaj musalmano k paas jo kuch hai wah unki koshishon aur mehnat ka natija hai .....
Mulk ne musalmano ne azadi k bad se sirf khoya hai ,kuch paya nahi hai ...kuch din qabal ex. pm dr.manmohan singh ne kaha tha ki mulk k wasayel par musalmano ka haq jeysda hai lekin wah uski wajahat nahi kar paye... shayad wah yahi kahna chahte hon ke 65 saalon me musalmano k liye kuch kia na ja saka ....lehaza ab unhe unka jayaj  haq Milna chahiye jinhe azadi k baad se lagataar faramosh kiya geya hai .....ab sawal uthta hai ki togadiya aur singhal jaise log jo kuch kar rahe hain wah is mulk k mufaad me hai ? Musalmano ko khul kar dhamkiyan di ja rahi hain , keya mulk me koi aisa qanun hai jo aise logo ki zuban par lagaam kas sake?  Arbabe hukumat ko samajhna hoga ...
               jab aap aaini yaani sawaindhaanik ohde k liye oath lete hain to  aap hindustan ki tamam shahriyon k tahaffuj aur tarkki ki  bela tafrik yaani bagair bhed bhao jimmedari ayad hoti hai ....qanun ki bala dasti qayem karna aap ka farz hota hai ...is waqt central me BJP ki badi aksariyat wali hukumat qayam hai ....Bjp par maazi me ta 'assub aur majhabi munaferat k sangeen ilzaam lagte rahe hain ...aise me arbabe hukumat par aurnbhi zimmedari ayad hoti hai ke is trah ke gair jimmedar beyan dene walon par lagam kase ....
Bjp jo ab hukmaran jama'at hai use yah samajhna hoga ki aise beyanat aalmi satah parnbhi mulk ke mufaadnme nahi hai , isey togadiya aur singhal k gair jimmedarana beyan ki sakht aalochna karni chahiye ...hukumat ki jimmedari hai ki aise logo k khelaf sakht action le jo uski badnaami ki wajah ban rahe hain , usse mulk ka waqar buland hoga aur hundustan me zamhuriyat ki zaden aur bhi jeyada majbut hogi ...hindustan ko ysh credit milega ki secularism aur mulk k ittehad wa salmiyat k tahaffuz ke liye wah pabande ahad aur sanzida hai

( S.M .Ashraf Farid , 27/7/14 .....Qaumi Tanzeem patna , Urdu daily )

Www.biharbroadcasting.com

Www.biharbroadcasting.blogspot.com

Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

Department of Education Directory