मोदी सरकार के खिलाफ विरोध मार्च । Modi hukumat k khilaaf ehtazai March


मोदी सरकार के खिलाफ विरोध मार्च ।
Modi hukumat k khilaaf ehtazai March

Baba A Qaum Mahatma gandhi k yaume paidaish k mauqa par sanichar ko qaumi rajdhani (rashtriye rajdhani) nai dehli mein RSS k hindutva k agende par kaam karne wali dalit aur aqliyat mukhalif modi hukumat k khilaaf Dalit , muslim khawatin aur bachcon aur mazduron k haqooq ki Ladai Ladne Wali 60 numainda samaji tanzeemo ne mandi house se jantar mantar tak tahaffuz zamhuriya k naam se jo ehtazazi juloos nikala wah bela shuba mulk ki mukhtalif tabqa k andar paida hone wali oos seyasi bedari ka majhar hai jis k begair mulk mein ek sehatmand jamhuri nejam k qayaam ka tasav-oor bhi nahi kiya ja sakta .............
Parlimani nezame hukumat mein aksar ye khatra lahaq rahta hai k chunao mein mamuli aksariyat ki bena par he koi aisi inteha pasand aur fistai jamat bar sare iqtadar aa jati hai jis ki yaktarfa soch k natize mein mulk mein badtarin nav-E-yat ki samaji kashm-kash shuru ho jaati hai ..........Badqishmati se iss waqt mulk mein Wajire Azam Naredar Modi ki sarbarahi mein bhartiye janta party ki jo hukumat barsare iqtadaar hai wah apne qaul aur fail se kuch iss tarah ki yaktarfa sonch ka mujahara kar rahi hai ....chunanche numainda tanzimon mein jin mein hindu , muslim , sikh , esai mard aurat aur bachche badi tadad mein shamil they na sirf ehtazai march nikala balki mulk mein pesh aane wale firqa warana tashaddud aur julmo jeyadti k waqeyaat k khilaaf jum kar narebazi bhi ki .....mujaherin (paradarshankari)apne hathon mein takhtiyan liye huye they jin par jung nahi aman chahiye - Talim ka bhagwakaran , kisano ki jamin chhin-na aur begunah muslim navjawano ki farzi iljemat k tehat k tehat giraftariyan bund karo ...jaise nare likhe they......
March (virodh pradarshan) mein shamil dehli university k profesor ewarwa nand ne iss mauqa par akhbari numaindon se baat karte huye mulk ki maujuda seyasi aur samaji ka haqiqat pasandana tazazya karte huye saaf Lafzon mein ye kaha ki jab se narendar modi humukmat barsare iqtadar aao hai oos k baad se mulk mein daliton aur aqliyaton par humle k waqiyaat mein tashwishnaak ezafa hua hai ....unhone kaha ki pahle v iss tarah iss nav-e-yat waqeyaat hotey they lekin ab iss tarah k waqeyaat ko mansubaband tariqe se anzam diya jaa raha hai .....jis k natije mein purey mulk mein khauf wa dahshat ka mahual qayem hai ..........Prof. sahab ne kaha k suratehaal iss wajah se paida ho rahi hai kivaaj wahi log iqtadaar par qabiz hain jin ki sonch Baba E -Qaum k qatal ka sabab bani thi .........oonhone iss baat par bhi afsos jahir kiya ki Ab #Bapu  k qatilon ko hero ka darza diya jaa raha hai aur oos ki murtiyan nasb ki jaa rahi hain ......iss ehtazazi march k natije mein modi hukumat ki sonch wa fikr meinkoi tabdili aayegi iss barey mein yaqeen k sath kuch nahi kaha jaa sakta ...Lekin itna jaroor kaha ja sakta hai k iss tarah k Awaami ehtazaz se hukumat par dabao zaroor banega ......dunia mein aisi darzanon keya saikdon misalen maujud hain jab hukumate waqt ko awami ehtazaz k saamne ghutne tekne pade hain ...........
Sirf 31 % voto ki badaulat barsare iqtadaar aane wali modi hukumat agar ye sonchti hai k oose samaj k sabhi tabqa k upar apni yaktarfa nazriya mosallat karne ka haq hasil ho geya hai to ye oos ki bhul hai .......
Hindustan aise mulk mein jahan mukhtalif mazahib aur mukhtalif rung wa nasal k Log saikdon barson se sheer wa shakkar ki tarah rahte aa rahe hain ....wahan qaumi ittefaaq raye ki buniyaad par koi policy kamyabi k sath nafiz ki jaa sakti hai .... mulk mein hindutva agende thopne ki modi sarkar ki koshish radde amal ka sabab bun rahi hai jis se na sirf samaj mein nazaryati takrao ka mahaul paida ho raha balki taraqqi ki rahen bhi masdood ho rahin hain ......
Agar modi hukumat waqt rahte khwabe gaflat se bedar ho jaati hai to ye khud oos k haq mein behtar hoga ....sitam zarifi ye hai k modi hukumat chunke awaami masayel hal karne mein buri tarah nakaam rahi hai .....chunanche wah apni nakamiyon par parda dalne k liye ais

Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

Department of Education Directory