मोकम्मल शराबबंदी मोहीम का आगाज़ (Mokammal Sharab_bandi mohim ka Aghaz ). Badi hee khushi ki baat hai k wajir e Aala #NitishKumar reyasat mein mokammal Sharabbandi nafiz karne k apne faisle par Atal hain .Halanki opposition partiyan bilkhasus bhartiye janta party oon k faisle par mukhtalif javiye se nuktachini kar k awam mein gumrahi failane ka kaam kar rahi hai .....Mr kumar ne jumrat ko patna k #Sri Krishn MemorialHall mein #NashaBandi muhim ka baqayeda aagaz karte huye kaha ki oon ki hukumat Sharab_bandi k liye pabande ahad hai ....Lekin iss faisle ko marhalawar nafiz kia jayega ...... pahle marhale mein aainda yakam April se deshi sharab par pabandi ayad ki jayegi .......oos k baad gair mulki sharab par pabandi k liye qadam uthaya jayega ......iss jiman mein Mr kumar ki ye mantaq bikul ma'qool hai k pahle jehansaji aur awami bedari jaruri hai aur jahan tak awami bedari ya Raye A'ama hamwar karne ka ma'mla hai iss silsile mein samaj ka ta'aaun naguzir hai ....unhone iss kaam mein sabhi logon bilkhasus khwatin ka madad manga hai ....


मोकम्मल शराबबंदी मोहीम का आगाज़
Mokammal Sharab_bandi mohim ka Aghaz .
Badi hee khushi ki baat hai k wajir e Aala #NitishKumar reyasat mein mokammal Sharabbandi nafiz karne k apne faisle par Atal hain .Halanki opposition partiyan bilkhasus bhartiye janta party oon k faisle par mukhtalif javiye se nuktachini kar k awam mein gumrahi failane ka kaam kar rahi hai .....Mr kumar ne jumrat ko patna k #Sri Krishn MemorialHall mein #NashaBandi muhim ka baqayeda aagaz karte huye kaha ki oon ki hukumat Sharab_bandi k liye pabande ahad hai ....Lekin iss faisle ko marhalawar nafiz kia jayega ...... pahle marhale mein aainda yakam April se deshi sharab par pabandi ayad ki jayegi .......oos k baad gair mulki sharab par pabandi k liye qadam uthaya jayega ......iss jiman mein Mr kumar ki ye mantaq bikul ma'qool hai k pahle jehansaji aur awami bedari jaruri hai aur jahan tak awami bedari ya Raye A'ama hamwar karne ka ma'mla hai iss silsile mein samaj ka ta'aaun naguzir hai ....unhone iss kaam mein sabhi logon bilkhasus khwatin ka madad manga hai .....jin k asrar par hee reyasti hukumat ne Sharabbandi nafiz karne ka faisla kia hai ...Sharabbandi bilkhasus deshi sharab ki kashid aur kharid wa farokht par pabandi k mamle mein jahan samaj ka aham role hai wahin intezimia aur police par bhi badi jimmedari aayed hoti hai.....
Agar mohakma Aab-kaari aur police walon ne puri mus-Taidi aur deyanatdari se apne farayez mansabi ki adayegi nahi ki to ye policy kamyabi k sath nafiz nahi ki jaa sakegi .......Wajir E Aala ne lehaza mauqa par maujood police afsaron ki taraf ishara karte huye ye aagah bhi kiya kiya k agar sharabbandi ki najayej kasheed yaa Gairqanooni kharid wa Frokht k barey mein ittela milne par police karrwai nahi karti to aise gair jimmedar afsaron k khilaaf karwai ki jayegi .......Wajir E Aala yakam april se Nasha bandi policy par AmalDaraamad k barey mein kis hud tak sanjida aur purazm hain iss ka andaza iss baat se lagaya jaa sakta hai ki unhone padosi reyaston  Magribi bangaal ...uttar pradesh aur jharkhand k wejra ko maktub arsaal kar k ye darkhaast ki hai k wah iss silsile mein bain reyasti sarhad par tainaat apne amla ko chauksi baratne ki zaruri hidayat jari karen taaki sharab ki bain reyasti smugling par qaboo paya jaa sake ....sharab ki Aadat chhudane k liye har jila mein Deadiction centre ka qayaam bhi SharaabBundi ki jama policy ka ek hissa hai ....kisi bhi sarkari Faisle k kamyab nefaaz k liye jaroori hai k mukhtalif satah par chauksi barti jaye aur sath hee iss Faisle se hone waley nuksan aur Fayede ka bhi jayeza liya jaye.....iss tanazur mein Mr Kumar ka sharab dukandaron ko diya jane wala mashwera bhi ma,qool hai k wah sharaab ki jagah doodh ka karobar shuru karen .....sudha ka doodh aur doodh se bani oos ki khurduni ashya awaam mein kafi maqbool hain aur dehi wa nim shahri elaqon mein oos ki dukaano ki kafi zaroorat hai .....hum ummid karte hain k Wajir E Aala apne azm ko amli zama pahnane mein kamyab rahenge keyonki unhone NashaBandi policy k nashibo faraaz par gaur fikr k baad he iss mamle mein qadam uthaya hai .....iss bare mein to shaq wa shuba ji koi gunzaish nahi k wajire Aala ne SharabBandi ka elaan kar k ek bada faisla dilerana faisla kiya hai jis ki na sirf sharab mafiyaon balki Aadi qism k maye-noshon ki taraf se andar hee andar purzor mukhalifat ki jayegi....iss k alawa mahsulaat ki shakl mein reyasti hukumat ko hazaron karod rupye ka khasarah uthana padega ....Lekin oos k ewaz un hazaron garib wa mehnat kash khandano ko rahat milegi jin k mukhia deshi sharab ki lat mein mubtala ho kar na sirf apni balki apne ahle khana ki jindagi ko tabah wa barbaad kar rahe hain.....hamare kheyal mein agar nitish kumar apne iss qabile tareef faisle ko purey taur se nafiz karne aur karane mein kamyab ho gaye to ye oonka ek aisa karnama qarar diya jayega jo tarikh k  auraaq mein sunhare Lafzon mein darz kia jayega.....riyasat ki sabhi siyasi partiyon razakar Tanzimon aur majhabi adaron ko apne ekhtelafat se upar uth kar reyasti

 hukumat k sath bharpur Ta'aaoon karna chahiye
Editorial page Pindar dt.24/1/16

Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

Department of Education Directory