Posts

Showing posts with the label Sharaab_Bandi

मोकम्मल शराबबंदी मोहीम का आगाज़ (Mokammal Sharab_bandi mohim ka Aghaz ). Badi hee khushi ki baat hai k wajir e Aala #NitishKumar reyasat mein mokammal Sharabbandi nafiz karne k apne faisle par Atal hain .Halanki opposition partiyan bilkhasus bhartiye janta party oon k faisle par mukhtalif javiye se nuktachini kar k awam mein gumrahi failane ka kaam kar rahi hai .....Mr kumar ne jumrat ko patna k #Sri Krishn MemorialHall mein #NashaBandi muhim ka baqayeda aagaz karte huye kaha ki oon ki hukumat Sharab_bandi k liye pabande ahad hai ....Lekin iss faisle ko marhalawar nafiz kia jayega ...... pahle marhale mein aainda yakam April se deshi sharab par pabandi ayad ki jayegi .......oos k baad gair mulki sharab par pabandi k liye qadam uthaya jayega ......iss jiman mein Mr kumar ki ye mantaq bikul ma'qool hai k pahle jehansaji aur awami bedari jaruri hai aur jahan tak awami bedari ya Raye A'ama hamwar karne ka ma'mla hai iss silsile mein samaj ka ta'aaun naguzir hai ....unhone iss kaam mein sabhi logon bilkhasus khwatin ka madad manga hai ....

मोकम्मल शराबबंदी मोहीम का आगाज़ Mokammal Sharab_bandi mohim ka Aghaz . Badi hee khushi ki baat hai k wajir e Aala #NitishKumar reyasat mein mokammal Sharabbandi nafiz karne k apne faisle par Atal hain .Halanki opposition partiyan bilkhasus bhartiye janta party oon k faisle par mukhtalif javiye se nuktachini kar k awam mein gumrahi failane ka kaam kar rahi hai .....Mr kumar ne jumrat ko patna k #Sri Krishn MemorialHall mein #NashaBandi muhim ka baqayeda aagaz karte huye kaha ki oon ki hukumat Sharab_bandi k liye pabande ahad hai ....Lekin iss faisle ko marhalawar nafiz kia jayega ...... pahle marhale mein aainda yakam April se deshi sharab par pabandi ayad ki jayegi .......oos k baad gair mulki sharab par pabandi k liye qadam uthaya jayega ......iss jiman mein Mr kumar ki ye mantaq bikul ma'qool hai k pahle jehansaji aur awami bedari jaruri hai aur jahan tak awami bedari ya Raye A'ama hamwar karne ka ma'mla hai iss silsile mein samaj ka ta'aaun naguzir hai ....unhone