Skip to main content

दलित - मुस्लिम गठबंधन की दिशा में अहम पहल (Dalit -Muslim ittehad ki semat pesh ruft.)


दलित - मुस्लिम गठबंधन की दिशा में अहम पहल
(Dalit -Muslim ittehad ki semat pesh ruft.)
Iss haqiqat se inkar nahi kia jaa sakta k hydrabad central university k ek hostel mein dalit research scholer rohit vemula ki khudkushi k waqeya ( ghatna ) ne mulk k dalit , aqliyat aur kamjor tabqe ko ye sonchne par mazboor kar dia hai k oon logon ne mut_tahid aur monazaam ( aapas mein sangathit) ho kar apne aaini aur samaji ( sawaindhanik aur samaji )  haqooq ( Adhikar) k tahaffuz ( suraksha) k liye jamhuri ladai ( loktantrik ladai) jald shuru nahi to mulk mein nihayat tezi se sar ubharne wali firqaparast taqaten ( sampardaik taqatein ) unhe hashiye ( sunya , Zero ) par dhakelne se baaz nahi aayengi.....

Rohit vemula k mamle ko lekar mulk_dir tahrik ( desh bhar mein Aandolan )chalane mein sirf dalit toloba wa talebat ( chhtr aur chhatrayen) he aage aage nahi nahi hain balki bayen baju najaryat k alambardar toloba wa talebat aur har tabqa k insaaf aur aman pasand toloba bhi badi tadad mein shamil hain jo ek achchi Alamat hai aur iss se saaf pata chalta hai k hamare mulk mein amand aur insaaf pasand navjawanon ki bhari aksariyat ( bahulyata, bhari tadad) hai jo samaj ko majhab aur jaat _paat ki buniyad par mulk ko taqseem ( bantne) karne ki sangh parivar ki sajish k sakht khilaf hai .........iss tanazur mein ( sambandh mein) mumbai k azad maidan mein mun,Aqid jalsaye aam se dalit leader #PrakashAmbedkar ka ye khitaab behad #manikhez aur aham qarar diya jayega jis mein unhone markaji hukumat ko dalit aur aqliyat mokhalif hukumat  qarar detey huye iss baat ka dawa kiya k samaj k dabe kuchle aur insaf pasand afraad agar mut_tahid ho jayen to markazi hukumat ko hum iqtadaar se bedakhal kar denge.....unhone rohit vemula ki khudkushi ko afsosnaak qaraar dete huye markazi wajiron bandaroo datatray aur smriti irani k alawah hydrabad university k vice chancelor Aalok panday k khilasf baza taur par shakht karwai ka mutalba kiya jin k dalit mokhalif nazria ki wajah se he rohit ko apni jindagi khatm karne par mazboor hona pada hai ......
Haliya chand mahino k andar sangh parivar ki shar-pasandi k natize mein 2  aise afsosnak waqeyaat ronuma huye hain jin ko le kar na sirf aqliyaton aur daliton mein khauf wa haras ka mahaul paida ho geya hai balki oon dono tabqon k andar ab apne samaji wa aaini haqooq( samaji aur sanwaidhanik adhikar) aur apni izzat wa aabroo k tahaffuz ( suraksha) k liye ooth khade hone jajba bhi paida ho gaya hai .....
Pahla waqeya ( pahli ghatna)  dadri noida mein beef khori k farzi ilzam mein ek muslim shakhs Akhlaque ahmad k bahimana qatal(bedardi se hatya ) se juda hai jabki dusra waqeya rohit vemula ki khudkushi se wabista ( sambandhit) hai.....in dono he waqeyat mein sangh parivar k inteha pasand anasir (asamajik aur ugarwadi tatv ) k malauvis ( sanlipta) ki haqeeqat logon k samne aa chuki hai ....qabile gaur nokta ye bhi hai k  dadri waqeya k baad se hee mulk mein narendar modi hukumat ki sarparasti mein parvan chadhaye jane wale adam rawadari aur adam tahammul k khatarnak rujhan ko le kar qaumi satah par ( rashtriye astar par )  jordar bahas bhi shuru ho gai hai jis k natije mein modi hukumat katghere mein khadi kar di gai hai ......jahan tak mumbai k mut_jakkerah jalsa ka ta_alluk hai oos mein bohra muslim firqa ki burqa_posh khawateen bhi badi tadaad mein maujood thin ......jo rohit vemula se hamdardi ka izhar karte huye pur-josh andaz mein naare laga rahin thin .....hum esey apne haqooq ko lekar muslim firqa mein paida hone wali nai bedari ka mamla samajhte hain aur umid karte hain k agar dalit- muslim ittehad ( gathbandhan) ki taraf soojh boojh aur danish-mandi k sath pesh qadmi ki gai to mulk mein firqa parast taqaton k khaufnak azayem aur Eradon ko khak mein milaya ja sakta hai .....mulk k seyasi halaat mein jo parishan-koon tab-diliyan dekhne mein aa rahi hain oos k pasmanzar mein mulk mein naye nauiyat ki ( nai tarah ki ) samaji aur siyasi gathjor ko nahi kiya ja sakta

(Editorial page , Urdu dainik pindar dt. 4.2.2016

Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

सिमरन प्रजापति  with  Rekha Vinod Jain  and  4 others Mon  ·  क्या खुब लिखा है किसी ने ... "बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!" न मेरा 'एक' होगा, न तेरा 'लाख' होगा, ... ! न 'तारिफ' तेरी होगी, न 'मजाक' मेरा होगा ... !! गुरुर न कर "शाह-ए-शरीर" का, ... ! मेरा भी 'खाक' होगा, तेरा भी 'खाक' होगा ... !! जिन्दगी भर 'ब्रांडेड-ब्रांडेड' करने वालों ... ! याद रखना 'कफ़न' का कोई ब्रांड नहीं होता ... !! कोई रो कर 'दिल बहलाता' है ... ! और कोई हँस कर 'दर्द' छुपाता है ... !! क्या करामात है 'कुदरत' की, ... ! 'ज़िंदा इंसान' पानी में डूब जाता है और 'मुर्दा' तैर के दिखाता है ... !! 'मौत' को देखा तो नहीं, पर शायद 'वो' बहुत "खूबसूरत" होगी, ... ! "कम्बख़त" जो भी ...

छिनतई होती रही और सामने से चली गई पुलिस.....

 DB Gaya 28.08.23

Dr Neyaz Khalid ! MBBS FCGP (Delhi) Dr Arun Tiwari's Assistant ! Best General Physician in Patna ! (बेस्ट जनरल फिजिशियन इन पटना )

Nadeem E Homoeopathic Medicare Centre Dr Kausar Nadeem BEMS (Patna)  1.Old Azimabad  Colony Patna 2.New Karimganj Gaya Details k Liye  Call OR WhatsApp _ 7301014009 Note :-कैफियत बता कर डाक से भी दवा मंगवा सकते हैं  #Khandail के Sayeed Nagar (Gaya) में  #Homeopathy से सभी रोगों ( सर्दी, खाँसी, बुखार, जोड़ों का दर्द, कमर दर्द, किडनी का पत्थर, पित्ताशय में पत्थर समेत तमाम छोटी बीमारियों का सस्ता इलाज़! ज्यादा जानकारी के लिए सम्पर्क करें ---7301014009 Best Sexologist || Dermatologist ||Skin Specialist ||Hair Problems ||Kidney Stones ||Tumour ||Glands ||Cysts ज्यादा जानकारी के लिए नीचे के लिंक पर क्लिक करें  Homeopathic Doctor Gaya || Homoeopathic Treatment Gaya || Homeopathic Doctor In Cherki || Khandail || Sagahi || Saiyadih || Takiya|| Sherghati ||Shrichak Gaya ||Bishunpra ||Vishnupura  #Best_Homeopathic_Doctor_Sherghati_शेरघाटी  Jharkhand k Doctors is page par Salana 6000 k hisab se Advertisement de sakte hain.... मुझसे WhatsApp_7301014009 के जरिये ...