#Modi Apne Ghar Ki Fikar karein ! #Muslim Khawatin Ki Fikar Chhodein --#Wah Muslim Ma'Aashre mein intehai izzato ehtaram ki nazar se dekhi jati hain #Qanoon e shariyat mein koi kami nahi , Amal aur ilm ki kami hai #Mulk k musalman puri taqat k sath yaksan sivil code ki sajish k khilaaf khade hain ....Tahaffuz shariyat conference se #Amir E Shariyat maulana wali rahmani aur kai dusre danishwaron ka khataab ....

#Modi Apne Ghar Ki Fikar karein !
#Muslim Khawatin Ki Fikar Chhodein --
#Wah Muslim Ma'Aashre mein intehai izzato ehtaram ki nazar se dekhi jati hain
#Qanoon e shariyat mein koi kami nahi , Amal aur ilm ki kami hai
#Mulk k musalman puri taqat k sath yaksan sivil code ki sajish k khilaaf khade hain ....
Tahaffuz shariyat conference  se #Amir E Shariyat maulana wali rahmani aur kai dusre danishwaron ka khataab ....
----------------------------------------------------------
New delhi 15 october 2016 (Agency)
Mulk mein jaari talaaq e salasa aur yaksan sivil code par jari bahas k darmiyan aaj islamic cultural centre mein tahaffuz shariyat conference ka in_a_qaad kiya gaya jisme oloma wa danishwaron ne venkeiya naidu , ravishankar prasad ke beyaan par tanqeed ki aur talaqe salasa par ho rahe propagande par mudlal guftagu ki ......
unhone kaha k markazi wejra galat beyani se kaam le rahe hain .....ab kahte hain " hum talaaq e salasa par bahas karte hain , uniform civil code par law commission ne raye talab ki hai ......
Unhone sawal kiya k law commission ko khat markazi wejarate qanoon ne he to likha tha ....
Ab jab k musalmano ka muttahid mauqoof samne aa gaya hai to wah go_ma-go ki kaifiyat mein hai aur pichhe qadam hata kar usey sirf talaaq e salasa ka mamla bata rahi hai jabki tadaad azdwaaz k mamla par bhi usne adalate aaliya mein halafnama dakhil kiya hai ...........
Conference ko all india muslim personel law board k general secretary aur amir e shariyat maulana mohammad wali rahmani , senior sabiq markazi wazir ali ashraf fatmi aur suprim court k wakil mahmood pracha ne khatab karte huye dehli k aayema wa oloma aur danishweran k samne ek majboot aur wajeh mauqoof pesh kiya aur board ki dastakhati muhim ko kamyaab banane ki bhi apeal ki ......sath he samaj mein aai kharabi ko door karne par  bhi jor diya aur bataya k aayema hazraat ko apne khataab mein ek mazlish mein ek talaaq aur talaaq k tariqa e kaar ko banana chahiye....
Teen talaaq agarche ho jati hai lekin jise aaj media mauju bana raha hai islam ne to usey talaaq biddat bahut pahle he kaha hai , lihaza qanoon e shariyat mein koi kami nahi , amal aur ilm ki kami hai jis k tayeein bedaari paida karne ki jaroorat hai.....
Moqarrerin ne law commission ne khawatin commission mein bhi iss dastakhat ko sacan kar k bhejne aur original form ko board k markazi daftar mein jama karne ki apeal ki taaki agar pachchas hazar dastakhat k sath court ko gumraah karne ki koshish ki gai hai to hum pachchas lakh dastakhat k sath mulk ki khawatin k mauqoof ko hukumat aur law commission aur court k samne wajeh kar saken ..... unhone yah bhi kaha k suprim court ne rewazi qanoon ko mulki qanoon par fauqiyat di hai jis ka tazkera mazhabi kitabon mein bhi nahi hai ....jabki hamara mauqoof Qur'Aan wa hadis par mabni hai ......
Mokarrerin ne yahan tak dawa kiya ki aaj bhi samaj mein sab se jeyadah ehtaram ki nazar se muslim khawatin (mahilayein ) he dekhi jaati hain ....unki apne ghar mein ek izzat hai , ek waqaar hai ....
Media mein aa rahi khawatin ki mansha par bhi sawal uthaya gaya ....nez baar baar muslim mamalik k hawala dene par bhi challenge kiya gaya k pahle to 80 , fir 42 , fir 22 aur ab 5-6 mulkon ki baat ki jaa rahi hai k wahan talaaq e salasa khatm kar di gai hai jo ki sarasar jhooth hai aur ye fareb oon mamalik k naam puchhne par ye wajeh ho jata hai.....
--------------------------------------------
Sab se jayada talaaq hinduon k yahan .....to musalmno mein sab se kam ......?
All india muslim personel board k general secretary maulana wali rahmani ne 2011 ki mardum shumaari ka hawala dete huye wajeh kiya k musalmano mein talaaq ki dar sab se kam hai ......
Sab se jeyada hinduon k yahan , fir esaiyon, sikhon , jainiyon aur sn se kam musalmanon k yahan hai aur esi tarah tadaad azdwaaz bhi musalmnon ki sharah sab se kam hai .......Lihaza modi sarkar oos comunity mein na_insaafi ko door karne k liye keya kar rahi hai jahan khawatin ssb se jeyada mazloom hain .......modi sarkar ko chahiye ki hindu khawatin ki mazlumi ko khatam karein , unhen insaaf dilayein ....Nez sasb se pahle apne ghar mein insaaf karein jahan unki ahliya tawil nuddat se insaf ki muntazir hain .....
Conference ki ekhtetam par dastakhati form bhi taqsim kiye gaye aur apeal ki gai k photo copy kara kar jitna jeyada ho dastakhat karaein , camp ki jaroorat ho to wah bhi lagayein .........
Agar koi khatoon dastakhat na kar sakti hon to angutha bhi laga sakti hain ......
Maulana wali rahmani ne taqriban 50 minat k apni qalidi khutba mein mamle k har pahlu par tafsil se roshni dali ....oonhone jahan media ko aade hathon liya wahin jazon ki janibdari ko bhi nishana banaya....apne khatab mein unhone kaha k asal mamla #prakash Aur #bholaDevi ka hai ...Qanoone werasat ka mamla jere bahas tha door door tak muslim personel law , uniform civil code ya talaqe salasa ki koi baat nahi thi , lekin judge sahab ko achanak muslim aurton ki yaad aa gai ....judge sahab ne ajkhood moqadma taiyaar kiya .....iss mamla par prada dalne k liye uniform civil code par hukumat se sawal kar dala k uniform civil code mein kya dushwari hai .....unhone kaha k main ye nahi kahta k suprim court badniyat hai magar meri dictionary mein judge sahab k ees amal k liye koi monasib lafz mil nahi raha hai .....dar_asal retirement k baad mukhtalif commissions k sarbarah banne k liye judge hazraat eesi tarah ka kaam karte hain ...,.aur hukumat jis k intekhabi agende mein uniform civil code hai , zahir hai ki oos k eshare k bagair bhi  mumkin nahi ......oon hon ne vainkaiya naidu k beyan k beyan ko nishana banate huye kaha ki wazir ghalat beyani se kaam le rahe hain ....maulana mohammad wali rahmani ne talaaqe salasa par mamla ko suljhate huye kaha ki asal mamla 3 Talaaq ko ek karne ka hai hee nahi ....mamla sirf 3 Talaaq ko khtam karne ka he hai , ye farq samajhna chahiye ...eesi liye hamare ahle hadees bhai bhi hamare sath hain ...keyonki ye mutfeqa masla hai k 3 talaaq , talaaq hai , chaahe ek ho ya 3 .....
Ahle hadees hazraat ek mante hain jabke foqa shafai wa zambli wa malki wa hanfi mein 3 talaaq mani jati hai ....hukumat ka mauqoof ye hai k kisi ne agar 3 talaaq di to kaal-Adam ho jayegi ....ye sarasar foqahi aur mazhabi masla hai , hukumat ees mein kood kar uniform civil code ki raah hamwaar kar rahi hai .....aur aisi surat mein ek haram cheez ko halal karna lazim aayega ..... aakhir TV par chinkhne wale danish_weraan ko ye batein keyon samajh mein nahi aa rahi hai ...Dar-Asal unhe khood hee pat nahi k oon ki manzil kahan hai .....? Wawela aisa kiya jaa raha hai goya har musalman 4-4 shadiyan karte hain aur 3 ko talaaq dete hain ....
Maulana mohammad wali rahmani ne ashraf ali fatmi ki baat se ittefaaq karte huye kaha ki modi ji ne tamam khawatin ko insaf dilane ki baat kahi ....main oon se kahna chahta hoon  k pahle gujrat wali ko insaaf dilayein jo 3 baras se jayed arse se insaaf ki mohtaz hain ....
Maulana wali rahmani ne ye bhi kaha k talaaq rahmat bhi hai aur jab jaroorat ho aur jahmat hai...hab ees ka galat istemal ho lihaza ees galat eestemal k khilaaf bedari karne ki jarurat hai .........
Urdu Daily Pindar patna tarikh 16/10/2016

Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

Department of Education Directory