Keya Auliya Allah se Mohbbat ka Tariqa Yahi hai .....? Iss me koi shaq nahi k #Khankanhen #islam ki #Asha'at ka #Markaz rahin hain , jin k zariye karodon Afrad k Qalub ko zikre Elahi se ma'moor kia geya hai , jin ki koshishon se karodon log halqabagosh islam huye hain , ye bhi RozeRaushan ki tarah Ayan hai ki Aaj barsagir mein jo islam nazar aa raha hai wah unhi khankahon aur bujragane din wa auliya ki den hai .....yaqinan wah tamam #khanqahein islam ki Asha'at ka markaz thin aur tutey , foote dilon ki rahat wa sakun ki Aa'majgah bhi......Lekin aaj bhi khanqahen keya kar rahi hain , un ka maqsad aur mishan keya rah geya hai ......unhen ye nahi bataya jata hai ki Aaj jo bhi iss tarah k jalse wa juloos aur Akhaden nikal rahe hain wah gair Islami sha'aar k hamil hain .....islam se koi lena dena nahi hai .....Balki aise Taur wa Tariqe Islam ko masakh karne ki raah hamwaar kar rahe hain .........meri baat kuchh logon ko talkh maloom hongi lekin haqiqat yahi hai k achchaiyon ko humne chhod dia aur Laguyaat ki rah Akhtiyar kar li .....dunia kahan se kahan ja rahi hai aur hum hain k jehalat aur jalalat ki raah ko apnaye huye hain ....Yaqin janiye qur'aan wa hadis aur sahaba e karam razwanullah Ta'ala azmain ka taur wa tariqa hee hamari kamyabi ki zamin hai aur iss k Alawa koi dusri chiz nahi...........

Mohammad shakil asthanvi
09852508777
----------------------------
Keya Auliya Allah se Mohbbat ka Tariqa Yahi hai .....?
Iss me koi shaq nahi k #Khankanhen #islam ki #Asha'at ka #Markaz rahin hain , jin k zariye karodon Afrad k Qalub ko zikre Elahi se ma'moor kia geya hai , jin ki koshishon se karodon log halqabagosh islam huye hain , ye bhi RozeRaushan ki tarah Ayan hai ki Aaj barsagir mein jo islam nazar aa raha hai wah unhi khankahon aur bujragane din wa auliya ki den hai .....
yaqinan wah tamam #khanqahein islam ki Asha'at ka markaz thin aur tutey , foote dilon ki rahat wa sakun ki Aa'majgah bhi......
Lekin aaj bhi khankqahen keya kar rahi hain , un ka maqsad aur mishan keya rah geya hai ......
unhen ye nahi bataya jata hai ki Aaj jo bhi iss tarah k jalse wa juloos aur Akhaden nikal rahe hain wah gair Islami sha'aar k hamil hain .....
islam se koi lena dena nahi hai .....
Balki aise Taur wa Tariqe Islam ko masakh karne ki raah hamwaar kar rahe hain .........
meri baat khush logon ko talkh maloom hongi lekin haqiqat yahi hai k achchaiyon ko humne chhod dia aur Laguyaat ki rah Akhtiyar kar li .....dunia kahan se kahan ja rahi hai aur hum hain k jehalat aur jalalat ki raah ko apnaye huye hain ....Yaqin janiye qur'aan wa hadis aur sahaba karam razwanullah Ta'ala azmain ka taur wa tariqa hee hamari kamyabi ki zamin hai aur iss k Alawa koi dusri chiz nahi...........
Alla Ta'ala ka fazal wa ehsan hai ki #AllahTa'ala ne hum logon ko musalman banaya chunki #HumLog is ko padhne k baad hamari jimmedariyan badh jatin hain aur dusre tamam majahib wa adyan k taur tariqe hamare najdik batil ho jate hain.....
iss par amal karna , dusre qaumon ki rawish ko akhtiyar karna hamara shewaye hayat nahi balki hame Allah aur us k rasul ki Fakhr kayenat  hazrat mohammad mustafa (SAW)k bataye huye raste par chalne ko kaha geya hai , un k raste k Alawa #hum kisi bhi rah ko akhtiyaar karte hain , aur kisi k taur tariqe ko apnate hain to wah Allah Ta'la ki narazgi aur hazrate sarwar konain (SAW) ki khabgi ka sabab banega.....
Lihaza hame iss se bachna chahiye aur pure taur par islam mein dakhil ho jana chahiye .....islam ne hamare liye Asul wa jabte mo'taiyan kar diye hain ....koi v shakhs jo - Lailaha Elallah Mohammadur Rasulullah padhta hai aur fir us k baad kisi dusri qaum ki rawish ko akhtiyar karta hai to roze qayamat k din uska hashr v usi qaum k sath hoga , jis ki rawish ko usne apnaya aur apni zindagi ka NsbulAiyen banaya tha......................

Barson se ye baat dekhne mein aa rahi hai k #Moharram k Akhadon ki tarah ab urs wa #chadarposhi  k akhade bhi nikalne lage hain , jis tah moharram k Akhadon mein band - baze ,oont wa ghonde , naach wa gane ka ehtamam kia jata hai usi andaz mein ab urs wa chadarposhi k akhadon ka bhi ehtamam kiya jane laga hai ....iss k liye chande Ekaththe kiye jatey hain aur oon chandon se #ghonde aur oont bulwaye jate hain aur ganon walon par rupye nichhawad kiye jatey hain ......hamare iss tarze amal se dusri qaumein ye samajhne lagi hai ki yahi wah Log hain jo islam k sachche shaidai hain aur un hee k dil mein islam ki haqaniyat rachi basi hui hai ....dar asal yahi islam ka taur wa tariqa hai aur islam usi ki talim deta hai.........
         Urs k jawaz ka fatwa dene waley muftiyan keram , masla batane wale olamaye keram aur bilkhasus khanqahon k sajjadegan ko batane chahiye k ye bujrugon se #Aqidat wa mohabbat nahi balki ye bujrugo ki tauhin , Aulia Allah k Farmudat se enheraf aur unki batai hui bataon ki KhilafWarzi hai ..... jab k bujrugon aur #AuliyaAllah ne apni jindagi ka NasbulAiyen Allah  aur  us k Rasool (SAW) k taur tariqe ko banaya , aur puri jindagi usi par Amal karte rahe aur Allah wa us k Rasool k hukmon ko mana aur  usi par mar mitey.....hamare oon bujrugon aur AuliyaAllah ne sirf ummate islamia hee nahi blki gairon ko bhi AllahRabbulI izzat ka paigham pahunchaya aur hazrat Rasoolullah (SAW) ki lai hui shariyat ki talim se aashnai karai..........unhone bata diya k islam apne manne wale ko saaf suthre jabte aur asoolon ka paband batata hai , islam chahta hai ki musalman gairullah k aage sijdahrez na hon , islam k asoolon mein hai ki allah  hee ko hazat rawa mana jaye, Allah k Alawa koi mushkilkusha nahi , kisi gairullah k dar se koi zarurat puri nahi hoti .......Allah Ta,Ala qur,an pak mein irshad farmata hai "Allah tamam chizon ka paida karne wala hai aur wahi tamam chizon ka nigehban hai ......jab Allah ta,ala hamara nigehban hai"
Jab allah ta,la hamara nigehban ho geya to ab mazdeed  kisi v chiz ki jaroorat nahi, bas wahi hamara mulza aur mawa hai .....iss k alawa kisi ko karsaaz samajhna aur kisi gairullah se apni umidein wabista rakhna ye islami Asool wa jabte k khilaaf aur jehalat hai..................:-
           Hum acchi tarah jante hain k islam ne to RozeAuwal hee iss baat ki ta'lim dee k musalmano ko ta'lim hasil karna chahiye aur jehalat wa jalalat ki rahon ko tark karna chahiye....Nez #Qur'an pak wa suunate Rasoolallah (SAW) ko apni jaat jindagi ka NasbulAiyen banana chahiye...ayese tamam rasumat aur taur tariqon se apni zindagi ko bachana chahiye jis se islam ki shabih masakh hoti ho aur islam ki haqaniyat ko thes pahunchti ho ........aise Akhadon ko dekhne k baad ayesa mahsoos hota hai k hum ek baar fir jalalat wa gumrahi ki raah ko Akhtiyaar kar rahe hain , hum jehalat k taur tariqon ko apna rahe hain aur hum allah k mahboob sarware konain hazrat mohammad (SAW) aur un k Aasheqin hazraat Auliyaye keram ki rooh pak ko taklif pahuncha rahe hain .....jin buzrugon ka mqsad wa mishan Isq E Rasool tha , jin auliya allah ka mansha Allah aur Rasool (SAW) ki lai hui shariyat wa sunnat ko aam karna tha ....lekin hum aaj un hee buzrugon aur Aulia Allah k bataye huye raste se munharif ho gaye hain ........hum oon se jubani mohabbat to karte hain lekin Amli taur par sabit kar rahen hain k aap ne jo farmaya tha wah galat tha, aap ne zin chinzo ki ta'lim dee thi wah ta'lim hamare liye nahi balki wah dusron k liye thi....... hamare Isq wa mohabbat ka andaza ye hai k hum Aap k mazarat par dhol , baze aur ghode aur oont k chadarposhi karte hain aur Aqidat wa  mohabbat k fool nichhawar karte hain ....haqeeqat manon mein agar yahi isq wa mohabbat hai to aisi mohabbat wa isq par #Allah hee raham farmaye........

         Hame iss baat par bhi gaur karna chahiye k oors k mauqa par jis tarah se hazaro rupye pani ki tarah baha diya jate hain wah afsosnak hai....halanke islam ne beja asraaf karne walon ko shaitan ka bhai qaraar diya hai .........

      Haqeeqat manon mein oon rupiyon ka sahi masraf liya ja sakta tha aur oos rupye se samaj se burai khatam kiya ja sakta tha, samaj k garib betiyon ki shadi jin ki gurbat ki wajah se nahi ho pa rahi hai ...unki shadi ka nazm kiya ja sakta tha , bhook se garib k bachche mar rahe hain unke khane ka nazm kiya ja sakta tha .....talim se jo bachche mahroom hain oon bachchon ki talim ka nazm kiya ja sakta tha, jo bimar hain oon k liye dawaiyon ka nazm kiya ja sakta tha aur millat k andar gadgari ka jo mahaul qayam ho geya hai usko door kiya jaa sakta tha ....lekin hum khurafat aur Laguyaat ko apnane k aadi ho gaye hain .....humne oon hee taur tariqon aur rasoom wa riwaz ko apnaya jo gairon ka tariqa hai aur jis se hamara koi Lena dena nahi hona chahiye tha.....

Ab jara oors ki haqeeqat ka jayeza Lene se pata chalta hai ki oors hazrate Auliya keram ki tarikhe wafaat k din manaya jata hai , oos din oon k mazarat ko gosal karya jata hai , sandal lagaya jata hai , ChadarPoshi ki jaati hai , cheragan kia jata hai aur iztamai taur par FatehaKhani ki jati hai aur aisa kar k oon se isq wa muhabbat ka saboot faraham kia jata hai , agar Aulia Allah se utni hee mohabbat to oos din oon k kamon ko yaad kia jata , oon ki qurbaniyan ginai jati aur ye bataya jata k oon buzrugon ne islam ki tarviz wa Asha'At k liye kaun -kaun se jokhim uthaye aur unhen Allah aur Rasoolullah (SAW) se kaisi aur kitni mohabbat thi ............
Halanki "oors" ka sabut hazrat Rasoolullah (SAW) k Qaul wa amal se nahi milta k sarware konain hazrat mohammad mustafa (SAW) se qabl k ambeyaye keram k yaume wafat k mauqa par "Oors" ka ehtamam kia ho aur oon k mazarat par ChadarPoshi ki ho ...na hee hazraat sahaba keraam rizwanullah ta'la azmayeen k taur tariqe se farmudaat se ye sabit hota hai k unhone "oors" ka In_eqaad kia ho aur sarware konain hazrat mohammad mustafa (SAW) k mazar par pur anwaar par " ChadarPoshi" kar k apni aqidat wa muhabbat ka saboot faraham kia ho ..............
Mujhe ye baat kahne mein zarrah barabar khauf nahi k sirf aur sirf #KhanQahon ko zindah rakhne k liye iss tarah ki taqrib ka ehtamam kia jata hai ' lekin mushtaqbil k natayez par khayal nahi rakha jata.......Aakhir keyon nahi sakhti k saath mana kiya jata k aurten bilkul hee oors k mauqa par tashrif na layen aur #Dhol , #baze, #ghode wa #oont ka ehtamam na kiya jaye ....#oors k mauqa par aurton wa mardon aur nauzawan ladkon aur ladkiyon ka jis Andaz mein ekhtalat hota hai aur jis tarah ki bepardagi hoti hai aur jis andaz mein behayai dekhne ko milti hai wa Afsosnaak, sharmnaak aur layeqe muzammat hai .........

         Iss me koi shaq nahi k #Khankanhen #islam ki #Asha'at ka #Markaz rahin hain , jin k zariye karodon Afrad k Qalub ko zikre Elahi se ma'moor kia geya hai , jin ki koshishon se karodon log halqabagosh islam huye hain , ye bhi RozeRaushan ki tarah Ayan hai ki Aaj barsagir mein jo islam nazar aa raha hai wah unhi khankahon aur bujragane din wa auliya ki den hai .....yaqinan wah tamam #khanqahein islam ki Asha'at ka markaz thin aur tutey , foote dilon ki rahat wa sakun ki Aa'majgah bhi......Lekin aaj bhi khankqahen keya kar rahi hain , un ka maqsad aur mishan keya rah geya hai ......unhen ye nahi bataya jata hai ki Aaj jo bhi iss tarah k jalse wa juloos aur Akhaden nikal rahe hain wah gair Islami sha'aar k hamil hain .....islam se koi lena dena nahi hai .....Balki aise Taur wa Tariqe Islam ko masakh karne ki raah hamwaar kar rahe hain .........meri baat khush logon ko talkh maloom hongi lekin haqiqat yahi hai k achchaiyon ko humne chhod dia aur Laguyaat ki rah Akhtiyar kar li .....dunia kahan se kahan ja rahi hai aur hum hain k jehalat aur jalalat ki raah ko apnaye huye hain ....Yaqin janiye qur'aan wa hadis aur sahaba karam razwanullah Ta'ala azmain ka taur wa tariqa hee hamari kamyabi ki zamin hai aur iss k Alawa koi dusri chiz nahi...........
Dua hai k Allah Ta'Aala hame achchi samajh boojh Ata farmaye , Islam ka sachcha wa pakka #Aashique banaye , tamam qism ki Laguyaat wa khurafaat aur shirk wa Bid'Aat se bachne ki taufiq Enayat farmaye.........Aamin_SoomAamin.

         #Roznama #pindar#Patna #Tarikh.....8/1/2016

Comments

Popular posts from this blog

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"

Department of Education Directory