14 saal Jail kat kar ba-izzat reha hone waale naujawano ko chahiye ki qanuni raye lekar 10 kadod yaa usse bhi jeyada ka maanhani ka muqadma dayar karna chaahiye, ye bhi mang karna chahiye ki jin logo ne pakda tha unke wetan se kaat kar bhuktaan kiye jayen . Aise baimano ke pension tak ko jabt karne ki mang apne muqadme ke jariye karni chahiye . Badho agey pura desh , keya hindu ,keya musalman, keya sikh, keya ishayi tumhare saath rahenge ye saray bhai . Chodo mat in janwaro ko . Power mila tha gunahgaron ko pakadne ke liye na ki masumo ko? masumo ko pakar kar kahin na kahin desh ke dushmano ko fayeda in logon ne pahunchaane kaa kaam kiya is lehaaj se masumo ko pakad kar gunahgaron ko bachaane waale desh darohi hi thahrey . Aur aisa kia jana qanun aur dharmik dono lehaj se jurm hua, ghor paap hua aur aise papiyo ko saja jarur dilwayiye dariye mat keyonki 14 saal barbaad honay ke baad aapko khone ke liye kuch bhi nahi bacha ....www.biharbroadcasting.com
No comments:
Post a Comment